Kahan Kahan Se Sunaun Tumhein Fasana-e-shab

kahan kahan se sunaun tumhein fasana-e-shab

tawil guzra hai mujh par bahut zamana-e-shab

mahak raha hai hamin se harim-e-gulshan-e-roz

hamin se nur-faza hai nigar-KHana-e-shab

hua hai hukm ye min-jaanib-e-shah-e-zulmat

hudud-e-shahr-e-siyah chhoD de diwan-e-shab

KHamosh hote hain din ke tamam-tar sikke

khanakta rahta hai kashkol-e-dil mein aana-e-shab

har ek shaKH pe viraniyan musallat hain

badan-daraKHt bhi goya hai aashiyan-e-shab

tamam yaaden to aa baiThti hain sham-Dhale

udas rahta hai phir kis liye sirhana-e-shab

umid KHak rakhi jae ab ujalon ki

charagh aundhe paDe hain ba-astana-e-shab

halal rizq mayassar ho kya unhen 'sarim'

ki jin parindon ko chugna hai sirf dana-e-shab

(745) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahan Kahan Se Sunaun Tumhein Fasana-e-shab In English By Famous Poet Arshad Jamal 'Sarim'. Kahan Kahan Se Sunaun Tumhein Fasana-e-shab is written by Arshad Jamal 'Sarim'. Read famous Poem Kahan Kahan Se Sunaun Tumhein Fasana-e-shab for youth and Student by Arshad Jamal 'Sarim'. Free Download Kahan Kahan Se Sunaun Tumhein Fasana-e-shab in PDF.