Pyas Har Zarra-e-sahra Ki Bujhai Gai Hai

pyas har zarra-e-sahra ki bujhai gai hai

tab kahin ja ke meri aabla-pai gai hai

qaid mein rakkhi gai hai kahin titli koi

koi KHushbu kahin bazar mein lai gai hai

kya bhala apni samaat mein ghule koi miThas

waqt ke honTon se kab talKH-nawai gai hai

kis ki tanwir se jal uTThe basirat ke charagh

kis ki taswir ye aankhon se lagai gai hai

ho gai ja ke shafaq-rangi-e-afaq mein zam

kaf-e-doshiza-e-dil se jo hinai gai hai

uTh ai barbaad-e-tamanna ki nai KHwab--kaniz

haram-e-chashm mein phir raqs ko lai gai hai

waqt aisa bhi to aaya hai junun par 'sarim'

nok-e-mizhgan se talwar uThai gai hai

(723) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pyas Har Zarra-e-sahra Ki Bujhai Gai Hai In English By Famous Poet Arshad Jamal 'Sarim'. Pyas Har Zarra-e-sahra Ki Bujhai Gai Hai is written by Arshad Jamal 'Sarim'. Read famous Poem Pyas Har Zarra-e-sahra Ki Bujhai Gai Hai for youth and Student by Arshad Jamal 'Sarim'. Free Download Pyas Har Zarra-e-sahra Ki Bujhai Gai Hai in PDF.