PalaT Kar Dekhne Ka Mujh Mein Yara Hi Nahin Tha

palaT kar dekhne ka mujh mein yara hi nahin tha

nahin aisa ki phir us ne pukara hi nahin tha

samundar ki har ek shai par hamari dastaras thi

ki tughyani bhi apni thi kinara hi nahin tha

wo ek lamha saza kaTi gai thi jis ki KHatir

wo lamha to abhi hum ne guzara hi nahin tha

wo ban kar chand tab utra tha is dil ki zamin par

mohabbat ka jab aankhon mein sitara hi nahin tha

wara-e-jism tha kuchh aur bhi us ke jilau mein

faqat wo raushni ka istiara hi nahin tha

junun ke panw mein chhan kaisi dar aai ki main ne

abhi wahshat ko sahra mein utara hi nahin tha

(845) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

PalaT Kar Dekhne Ka Mujh Mein Yara Hi Nahin Tha In English By Famous Poet Arshad Jamal 'Sarim'. PalaT Kar Dekhne Ka Mujh Mein Yara Hi Nahin Tha is written by Arshad Jamal 'Sarim'. Read famous Poem PalaT Kar Dekhne Ka Mujh Mein Yara Hi Nahin Tha for youth and Student by Arshad Jamal 'Sarim'. Free Download PalaT Kar Dekhne Ka Mujh Mein Yara Hi Nahin Tha in PDF.