Nit-nae Naqsh Se Baatin Ko Sajata Hua Main

nit-nae naqsh se baatin ko sajata hua main

apne zahir ke KHad-o-KHal miTata hua main

lahza lahza ye fida hoti hui mujh pe hayat

aur har aan nazar us se churaata hua main

jaane kis rut mein khilenge yahan tabir ke phul

sochta rahta hun ab KHwab ugata hua main

har ghaDi baDhti hui tishna-labi ishq tiri!

dil ke riste hue zaKHmon se bujhata hua main

roz hota hua mujh mein kisi KHwahish ka janam

roz hi qabr nai KHud mein banata hua main

rahraw-e-shauq! karo yun! mere pichhe aao

aao chalta hun tumhein rah dikhata hua main

ab kahan waise hain idrak ke lamhat nasib

yaad mein kho ke teri KHud ko wo pata hua main

aaj bhi yaad hain 'sarim' ko manazir sare

har ada par wo teri jaan se jata hua main

(692) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nit-nae Naqsh Se Baatin Ko Sajata Hua Main In English By Famous Poet Arshad Jamal 'Sarim'. Nit-nae Naqsh Se Baatin Ko Sajata Hua Main is written by Arshad Jamal 'Sarim'. Read famous Poem Nit-nae Naqsh Se Baatin Ko Sajata Hua Main for youth and Student by Arshad Jamal 'Sarim'. Free Download Nit-nae Naqsh Se Baatin Ko Sajata Hua Main in PDF.