Kya Kahun Kitni Aziyyat Se Nikali Gai Shab

kya kahun kitni aziyyat se nikali gai shab

han yahi shab ye meri hijr bana li gai shab

pahle zulmat ka parastar banaya gaya main

aur phir meri nigahon se uTha li gai shab

raat bhar fath wo karti rahi ujiyaron ko

subh-dam apne andheron se bhi KHali gai shab

ta sada mujh mein rahen chand sitare raushan

meri miTTi mein tabiat se mila li gai shab

KHatm hota hi nahin silsila tanhai ka

jaane kis darja masafat mein hai Dhaali gai shab

fasl maqsud thi 'sarim' hamein suraj ki jahan

haif hai un hi zaminon pe uga li gai shab

(754) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Kahun Kitni Aziyyat Se Nikali Gai Shab In English By Famous Poet Arshad Jamal 'Sarim'. Kya Kahun Kitni Aziyyat Se Nikali Gai Shab is written by Arshad Jamal 'Sarim'. Read famous Poem Kya Kahun Kitni Aziyyat Se Nikali Gai Shab for youth and Student by Arshad Jamal 'Sarim'. Free Download Kya Kahun Kitni Aziyyat Se Nikali Gai Shab in PDF.