Sach Ki KHatir Sab Kuchh Khoya Kaun Likhega

sach ki KHatir sab kuchh khoya kaun likhega

mera ye be-kaif sa qissa kaun likhega

yun to har kandhe par ek chehra hai lekin

kis ke pas hai apna chehra kaun likhega

barf pighal kar dariya to tughyani lae

kyun chaDhta hai waqt ka dariya kaun likhega

dasht-nawardi ka qissa to sab likhte hain

kis ghar mein hai kitna sahra kaun likhega

samne jo haalat hain un sab ke hone mein

kitna kuchh hai kis ka hissa kaun likhega

KHushk hua ehsas ka KHama ab aise mein

kya hota hai dard ka rishta kaun likhega

roz-o-shab ke beach tasadum mein ai hamdam

suraj ka kirdar hai kaisa kaun likhega

abr-e-siyah to jhum ke aaya lekin 'arshad'

kis basti par kitna barsa kaun likhega

(1070) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sach Ki KHatir Sab Kuchh Khoya Kaun Likhega In English By Famous Poet Arshad Kamal. Sach Ki KHatir Sab Kuchh Khoya Kaun Likhega is written by Arshad Kamal. Read famous Poem Sach Ki KHatir Sab Kuchh Khoya Kaun Likhega for youth and Student by Arshad Kamal. Free Download Sach Ki KHatir Sab Kuchh Khoya Kaun Likhega in PDF.