Samundar Se Kisi Lamhe Bhi Tughyani Nahin Jati

samundar se kisi lamhe bhi tughyani nahin jati

magar sahil ko gham hai KHushk-damani nahin jati

ghanimat hai meri aankhon ki ye sayyal aatish bhi

isi se mere zehn-o-dil ki tabani nahin jati

sawa-neze pe suraj der tak rukne nahin pata

magar kya hai ki teri shoala-afshani nahin jati

sada-e-KHamushi deti hai ab dastak dar-e-dil par

na jaane kyun hamare ghar se virani nahin jati

riha ho kar bhi kuchh tair qafas mein lauT aate hain

faza-e-qaid ki aadat ba-asani nahin jati

tamaddun ka naya jama bahut shaffaf hai yaro

ki tan-poshi karo kitni hi uryani nahin jati

jatan sare hi karta hun magar kya kijiye 'arshad'

meri KHuddari-e-fitrat hai diwani nahin jati

(776) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Samundar Se Kisi Lamhe Bhi Tughyani Nahin Jati In English By Famous Poet Arshad Kamal. Samundar Se Kisi Lamhe Bhi Tughyani Nahin Jati is written by Arshad Kamal. Read famous Poem Samundar Se Kisi Lamhe Bhi Tughyani Nahin Jati for youth and Student by Arshad Kamal. Free Download Samundar Se Kisi Lamhe Bhi Tughyani Nahin Jati in PDF.