Tere KHayal Se Phir Aankh Meri Pur-nam Hai

tere KHayal se phir aankh meri pur-nam hai

ki gham ziyaada hai aur hausla mera kam hai

baqa ke waste sadiyon se jang jari hai

fana ke shor-sharabe se nak mein dam hai

nahin to kab ka mukammal main ho chuka hota

jise main apna samajhta hun us mein kuchh kam hai

ajib daur hai ye daur mary mushkil ka

sawal mein hai na koi jawab mein dam hai

main jis ko DhunD raha hun kai zamanon se

mujhe ho ilm ki wo meri zat mein zam hai

namaz paDhta hun aur us ko yaad karta hun

mere KHayal mein ek panchwan bhi mausam hai

(604) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere KHayal Se Phir Aankh Meri Pur-nam Hai In English By Famous Poet Arshad Lateef. Tere KHayal Se Phir Aankh Meri Pur-nam Hai is written by Arshad Lateef. Read famous Poem Tere KHayal Se Phir Aankh Meri Pur-nam Hai for youth and Student by Arshad Lateef. Free Download Tere KHayal Se Phir Aankh Meri Pur-nam Hai in PDF.