KHudi Ke Zoam Mein Aisa Wo Mubtala Hua Hai

KHudi ke zoam mein aisa wo mubtala hua hai

jo aadmi bhi nahin tha wo ab KHuda hua hai

wo kah raha tha bujhaega pyas sahra ki

mera ek abr ke TukDe se rabta hua hai

tumhaara tarz-e-bayan KHub hai magar sahab

ye qissa main ne zara muKHtalif suna hua hai

ye miTTi panw mere chhoDti nahin warna

falak ka rasta bhi samne paDa hua hai

usi ke hath pe baiat main kar ke aaya hun

jo buDha peD kaDi dhup mein khaDa hua hai

KHiraj mangta hai mujh se ye badan mera

ki lauh-e-dil pe tera nam bhi likha hua hai

wo mujh ko dekh ke rasta badal gaya 'arshad'

zara si der mein us ko ye jaane kya hua hai

(790) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHudi Ke Zoam Mein Aisa Wo Mubtala Hua Hai In English By Famous Poet Arshad Mahmood Arshad. KHudi Ke Zoam Mein Aisa Wo Mubtala Hua Hai is written by Arshad Mahmood Arshad. Read famous Poem KHudi Ke Zoam Mein Aisa Wo Mubtala Hua Hai for youth and Student by Arshad Mahmood Arshad. Free Download KHudi Ke Zoam Mein Aisa Wo Mubtala Hua Hai in PDF.