KHulus-e-alfaz Kaam Aaya Nigah-e-ahl-e-fitan Se Pahle

KHulus-e-alfaz kaam aaya nigah-e-ahl-e-fitan se pahle

nawed-e-dil ne mujhe pukara sada-e-dar-o-rasan se pahle

wajud-e-charKH-e-kuhan se pahle qayam-e-dar-o-rasan se pahle

hamin the tere chaman ki zinat bahaar-e-husn-e-chaman se pahle

sukut-e-gham ki ada ada ko samajh saken kash ahl-e-alam

ishaara-ha-e-latif bhi hain jabin pe naqsh-e-shikan se pahle

bahaar-e-be-kaif kis liye hai gulon pe rang-e-shikast kyun hai

abhi to kitni hi bijliyan hain chaman mein tark-e-chaman se pahle

(683) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHulus-e-alfaz Kaam Aaya Nigah-e-ahl-e-fitan Se Pahle In English By Famous Poet Arshi Bhopali. KHulus-e-alfaz Kaam Aaya Nigah-e-ahl-e-fitan Se Pahle is written by Arshi Bhopali. Read famous Poem KHulus-e-alfaz Kaam Aaya Nigah-e-ahl-e-fitan Se Pahle for youth and Student by Arshi Bhopali. Free Download KHulus-e-alfaz Kaam Aaya Nigah-e-ahl-e-fitan Se Pahle in PDF.