Mata-e-shauq To Hai Dard-e-rozgar To Hai

mata-e-shauq to hai dard-e-rozgar to hai

agar bahaar nahin ishrat-e-bahaar to hai

ada-e-chaak-e-gareban se ba-KHabar na sahi

junun-e-shauq ko farda ka eatibar to hai

taras rahe hain dil-o-jaan jo rang-o-bu ke liye

mere nasib mein ek dasht-e-intizar to hai

kahan nasib hawas ko junun ki aaraish

lahu lahu hai gareban tar tar to hai

in aablon ko hiqarat se dekhne wale

in aablon se chaman ka tere waqar to hai

hazar tarah se ruswa hain ahl-e-dard to kya

tera dayar to hai tera rahguzar to hai

hayat talKH sahi roz-o-shab haram sahi

dil-o-nazar ko ye mahaul sazgar to hai

(857) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mata-e-shauq To Hai Dard-e-rozgar To Hai In English By Famous Poet Arshi Bhopali. Mata-e-shauq To Hai Dard-e-rozgar To Hai is written by Arshi Bhopali. Read famous Poem Mata-e-shauq To Hai Dard-e-rozgar To Hai for youth and Student by Arshi Bhopali. Free Download Mata-e-shauq To Hai Dard-e-rozgar To Hai in PDF.