Nashili Chhanw Mein Bite Hue Zamanon Ko

nashili chhanw mein bite hue zamanon ko

laga do aag ajal ke nigar-KHanon ko

bata rahe hain jabin-e-hayat ke tewar

panah mil nahin sakti ab aastanon ko

diye jalao ki insaniyat ne toD diya

jahan-e-zar ke ru-pahle tilism-KHanon ko

har ek gam pe mashal dikha rahi hai hayat

sitam ki aanch mein nikhre hue zamanon ko

hazar dar-o-rasan Dagmaga nahin sakte

ajal ki god mein khele hue jawanon ko

bahut qarib hai wo daur KHush-gawar ki jab

nigar-e-amn sajaegi kar-KHanon ko

KHud aage baDh ke qadam chumti hai manzil-e-shauq

ye kis ne rah dikhai hai karwanon ko

(734) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nashili Chhanw Mein Bite Hue Zamanon Ko In English By Famous Poet Arshi Bhopali. Nashili Chhanw Mein Bite Hue Zamanon Ko is written by Arshi Bhopali. Read famous Poem Nashili Chhanw Mein Bite Hue Zamanon Ko for youth and Student by Arshi Bhopali. Free Download Nashili Chhanw Mein Bite Hue Zamanon Ko in PDF.