Yaqin-e-subh-e-chaman Hai Kitna Shuur-e-abr-e-bahaar Kya Hai

yaqin-e-subh-e-chaman hai kitna shuur-e-abr-e-bahaar kya hai

sawal karte hain dasht-o-dariya ki qafile ka waqar kya hai

jo chal paDe jada-e-wafa par unhen gham-e-rozgar kya hai

saubaton ke pahaD kya hain tamazaton ka ghubar kya hai

yahin pe manzil karenge rahi yahin pe sab qafile rukenge

Thahar zara shauq-e-sabr dushman ye dard be-iKHtiyar kya hai

nasib-e-farda pe shadman hain junun ke maron se koi puchhe

ye kyun gireban hai TukDe TukDe ye daman-e-tar tar kya hai

na un ka jada na koi manzil na nur-o-zulmat ka farq jaanen

unhen KHabar kya ki hai sahar kya andheri shab ka KHumar kya hai

(712) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaqin-e-subh-e-chaman Hai Kitna Shuur-e-abr-e-bahaar Kya Hai In English By Famous Poet Arshi Bhopali. Yaqin-e-subh-e-chaman Hai Kitna Shuur-e-abr-e-bahaar Kya Hai is written by Arshi Bhopali. Read famous Poem Yaqin-e-subh-e-chaman Hai Kitna Shuur-e-abr-e-bahaar Kya Hai for youth and Student by Arshi Bhopali. Free Download Yaqin-e-subh-e-chaman Hai Kitna Shuur-e-abr-e-bahaar Kya Hai in PDF.