Dam-ba-KHud BaiTh Ke KHud Jaise Zaban Gili Hai

dam-ba-KHud baiTh ke KHud jaise zaban gili hai

sans kya lun ki hawa dahr ki zahrili hai

ban gaya qatra-e-nachiz taraqqi se guhar

zat hai ek faqat nam ki tabdili hai

lag ne jis ki mujhe phunka hai andar andar

shama us aag ki ek haiat-e-tamsili hai

mal ke miTTi teri chaukhaT ki hua KHak se pak

jo lakir ab mere mathe ki hai chamkili hai

phir uDana hain gareban ke mujhi ko purze

hath bekar abhi the ki qaba si li hai

'arzu' hoga ye maqtal hi aza-KHana bhi

shafaqi farsh zamin ka hai to chhat nili hai

(611) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dam-ba-KHud BaiTh Ke KHud Jaise Zaban Gili Hai In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Dam-ba-KHud BaiTh Ke KHud Jaise Zaban Gili Hai is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Dam-ba-KHud BaiTh Ke KHud Jaise Zaban Gili Hai for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Dam-ba-KHud BaiTh Ke KHud Jaise Zaban Gili Hai in PDF.