Bhole Ban Kar Haal Na Puchho Bahte Hain Ashk To Bahne Do

bhole ban kar haal na puchho bahte hain ashk to bahne do

jis se baDhe bechaini dil ki aisi tasalli rahne do

rasmen is andher-nagri ki nai nahin ye purani hain

mehr pe Dalo raat ka parda mah ko raushan rahne do

ruh nikal kar bagh-e-jahan se bagh-e-jinan mein ja pahunche

chehre pe apne meri nigahen itni der to rahne do

KHanda-e-gul bulbul mein hoga gul mein naghma bulbul ka

qissa ek zabanen do hain aap kaho ya kahne do

itna junun-e-shauq diya kyun KHauf jo tha ruswai ka

baat karo KHud qabil-e-shikwa ulTe mujh ko rahne do

(788) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhole Ban Kar Haal Na Puchho Bahte Hain Ashk To Bahne Do In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Bhole Ban Kar Haal Na Puchho Bahte Hain Ashk To Bahne Do is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Bhole Ban Kar Haal Na Puchho Bahte Hain Ashk To Bahne Do for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Bhole Ban Kar Haal Na Puchho Bahte Hain Ashk To Bahne Do in PDF.