Hum Aaj Khaenge Ek Tir Imtihan Ke Liye

hum aaj khaenge ek tir imtihan ke liye

ki waqf karna hai dil naz-e-jaan-sitan ke liye

jala ke dil ko lapak se Daro na shole ki

zaban daraaz hai lekin nahin fughan ke liye

isi chaman mein ki wusat hai jis ki na-mahdud

nahin panah ki ja ek aashiyan ke liye

kiya tha zabt ne dawa-e-raazdari-e-ishq

uTha hai dard kaleje mein imtihan ke liye

kisi ko DhunDe na milta nazar ki choT ka nil

na hota dil mein suwaida agar nishan ke liye

siwa-e-dil ke jo sarmaya-e-do-alam hai

na kuchh yahan ke liye hai na kuchh wahan ke liye

na ishq jurm hai koi na dil ki baat hai raaz

bura ho sharm ka ek qufl hai zaban ke liye

KHilaf apne rahi waz-e-saz-o-barg-e-chaman

qafas bane hain jo tinke the aashiyan ke liye

laraz rahe hain falak 'arzu' ki aah-e-rasa

chali hai tegh-ba-kaf fath-e-haft-KHwan ke liye

(705) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Aaj Khaenge Ek Tir Imtihan Ke Liye In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Hum Aaj Khaenge Ek Tir Imtihan Ke Liye is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Hum Aaj Khaenge Ek Tir Imtihan Ke Liye for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Hum Aaj Khaenge Ek Tir Imtihan Ke Liye in PDF.