Husn Se Sharh Hui Ishq Ke Afsane Ki

husn se sharh hui ishq ke afsane ki

shama lau de ke zaban ban gai parwane ki

shan basti se nahin kam mere virane ki

ruh har bonDle mein hai kisi diwane ki

aamad-e-mausam-e-gul ki hai KHabar daur-e-digar

tazgi chahiye kuchh saKHt mein paimane ki

aai hai kaT ke miad-e-asiri ki bahaar

hatkaDi khul ke giri jati hai diwane ki

sard ai shama na ho garmi-e-bazar-e-jamal

phunk de ruh nai lash mein parwane ki

uTh khaDa ho to bagula hai jo baiThe to ghubar

KHak ho kar bhi wahi shan hai diwane ki

'arzu' KHatm haqiqat pe hua daur-e-majaz

Dali kabe ki bina aaD se but-KHane ki

(632) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn Se Sharh Hui Ishq Ke Afsane Ki In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Husn Se Sharh Hui Ishq Ke Afsane Ki is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Husn Se Sharh Hui Ishq Ke Afsane Ki for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Husn Se Sharh Hui Ishq Ke Afsane Ki in PDF.