Jo But Hai Yahan Apni Ja Ek Hi Hai

jo but hai yahan apni ja ek hi hai

dui chhoD bande KHuda ek hi hai

ye gul khil raha hai wo murjha raha hai

asar do tarah ke hawa ek hi hai

hain apni hi niyyat ke phal talKH-o-shirin

wagarna maza dard ka ek hi hai

bhare rang jitne badalta zamana

magar ishq ka majra ek hi hai

sabhi shikwe miTte hain chashm-e-karam se

maraz hon hazaron dawa ek hi hai

do-rangi-e-duniya se kya kaam hum ko

ki firdaus-e-dil ki faza ek hi hai

banate hain be-KHud sabhi husn wale

Thikane alag rasta ek hi hai

koi samjhe naghma koi samjhe nala

mere saz-e-dil ki sada ek hi hai

wo dar-o-rasan hon ki hon zahr-o-KHanjar

bahane hazaron qaza ek hi hai

mohabbat kare aur ho be-gharaz bhi

lo phir 'arzu' aap ka ek hi hai

(767) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo But Hai Yahan Apni Ja Ek Hi Hai In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Jo But Hai Yahan Apni Ja Ek Hi Hai is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Jo But Hai Yahan Apni Ja Ek Hi Hai for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Jo But Hai Yahan Apni Ja Ek Hi Hai in PDF.