Kuchh Din Ki Raunaq Barson Ka Jina

kuchh din ki raunaq barson ka jina

sari jawani aadha mahina

duniya-e-dil ki rasmen nirali

be-maut marna be-as jina

roka tha dam bhar lahraata aansu

aa aa gaya hai danton pasina

wo aise hi hain ja re jawani

jo KHud hi baKHsha wo KHud hi chhina

jis ka tha wada wo kal na aai

din ginte guzra sara mahina

munh par safai aur chor dil mein

aaina phenko ponchho pasina

bas 'arzu' bas farda ka wada

barson ki baaten do din ka jina

(852) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Din Ki Raunaq Barson Ka Jina In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Kuchh Din Ki Raunaq Barson Ka Jina is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Kuchh Din Ki Raunaq Barson Ka Jina for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Kuchh Din Ki Raunaq Barson Ka Jina in PDF.