Kyun Kisi Rah-rau Se Puchhun Apni Manzil Ka Pata

kyun kisi rah-rau se puchhun apni manzil ka pata

mauj-e-dariya KHud laga leti hai sahil ka pata

hai nishan-e-laila-e-maqsud mahmil ka pata

dilruba hath aa gaya paya jahan dil ka pata

rah-e-ulfat mein samajh lo dil ko gunga rahnuma

sath hai aur de nahin sakta hai manzil ka pata

kahta hai naseh ki wapas jao aur main sada-lauh

puchhta hun KHud usi se ku-e-qatil ka pata

rahbar rahzan na ban jae kahin is soch mein

chup khaDa hun bhul kar raste mein manzil ka pata

aai ek aawaz-e-tir aur nikli dil se uf

phir na qatil ka nishan paya na bismil ka pata

banki-chitwan wale mahshar mein hazaron hain to hon

mil hi jaega kisi surat se qatil ka pata

us jagah bismil ne dam toDa jahan ki KHak thi

yun lagate hain lagane wale manzil ka pata

puchhne wale ne ye puchha ki kyun be-dil ho kyun

aur mujh ko mil gaya khoe hue dil ka pata

maujen Takrai huin dushman bhi niklin dost bhi

pichhe kashti ko Dhakela de ke sahil ka pata

rah gaya hai TuT kar zaKHm-e-jigar mein tir-e-naz

ab laga lena nahin dushwar qatil ka pata

soKHta parwane kushta shama farsh-e-daghdar

de rahe hain raat ki garmi-e-mahfil ka pata

main wafa-kesh 'arzu' aur wo wafa-na-ashna

paD gaya mushkil mein pa kar apni mushkil ka pata

(740) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun Kisi Rah-rau Se Puchhun Apni Manzil Ka Pata In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Kyun Kisi Rah-rau Se Puchhun Apni Manzil Ka Pata is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Kyun Kisi Rah-rau Se Puchhun Apni Manzil Ka Pata for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Kyun Kisi Rah-rau Se Puchhun Apni Manzil Ka Pata in PDF.