Masum Nazar Ka Bhola-pan Lalcha Ke Lubhana Kya Jaane

masum nazar ka bhola-pan lalcha ke lubhana kya jaane

dil aap nishana banta hai wo tir chalana kya jaane

kah jati hai kya wo chin-e-jabin ye aaj samajh sakte hain kahin

kuchh sikha hua to kaam nahin dil naz uThana kya jaane

chaTki jo kali koyal kuki ulfat ki kahani KHatm hui

kya kis ne kahi kya kis ne suni ye bata zamana kya jaane

tha dair-o-haram mein kya rakha jis samt gaya Takra ke phira

kis parde ke pichhe hai shoala andha parwana kya jaane

ye zora-zori ishq ki thi fitrat hi jis ne badal Dali

jalta hua dil ho kar pani aansu ban jaana kya jaane

sajdon se paDa patthar mein gaDha lekin na miTa mathe ka likha

karne ko gharib ne kya na kiya taqdir banana kya jaane

aankhon ki andhi KHud-gharzi kahe ko samajhne degi kabhi

jo nind uDa de raaton ki wo KHwab mein aana kya jaane

patthar ki lakir hai naqsh-e-wafa aaina na jaano talwon ka

lahraya kare rangin-shoala dil palTe khana kya jaane

jis nale se duniya bekal hai wo jalte dil ki mashal hai

jo pahla luka KHud na sahe wo aag lagana kya jaane

hum 'arzu' aae baiThe hain aur wo sharmae baiThe hain

mushtaq-nazar gustaKH nahin parda sarkana kya jaane

(886) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Masum Nazar Ka Bhola-pan Lalcha Ke Lubhana Kya Jaane In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Masum Nazar Ka Bhola-pan Lalcha Ke Lubhana Kya Jaane is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Masum Nazar Ka Bhola-pan Lalcha Ke Lubhana Kya Jaane for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Masum Nazar Ka Bhola-pan Lalcha Ke Lubhana Kya Jaane in PDF.