Nazar Us Chashm Pe Hai Jam Liye BaiTha Hun

nazar us chashm pe hai jam liye baiTha hun

hai na pine ka ye matlab ki piye baiTha hun

raKHna-andazi-e-andoh se ghafil nahin main

hai jigar chaak to kya honT siye baiTha hun

kya karun dil ko jo lene nahin deta hai qarar

jo muqaddar ne diya hai wo liye baiTha hun

iltifat ai nigah-e-hosh-ruba ab kyun hai

pas jo kuchh tha wo pahle se diye baiTha hun

dil-e-pur-kaif salamat ki akele mein bhi

ek botal se baghal garm kiye baiTha hun

'arzu' jalte hue dil ke sharare hain ye ashk

aag pani ke kaToron mein liye baiTha hun

(754) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Us Chashm Pe Hai Jam Liye BaiTha Hun In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Nazar Us Chashm Pe Hai Jam Liye BaiTha Hun is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Nazar Us Chashm Pe Hai Jam Liye BaiTha Hun for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Nazar Us Chashm Pe Hai Jam Liye BaiTha Hun in PDF.