Piyun Hi Kyun Jo Bura Jaanun Aur Chhupa Ke Piyun

piyun hi kyun jo bura jaanun aur chhupa ke piyun

main wo nahin ki nigahen bacha bacha ke piyun

miTa diye hain sab ehsas uf re zauq-e-sharab

surur kam na ho turshi bhi gar mila ke piyun

gunah pe tohmat-e-be-lazzati na rakh zahid

maza na aae to kyun munh bana bana ke piyun

ye tishnagi-e-shahadat ka iqtiza ab hai

ki aab-e-tegh-e-sitam zahr mein bujha ke piyun

gale mein lagti hai ifraat-e-shauq se phansi

paDe na halq mein phanda to DagDaga ke piyun

hai ek saghar-e-dil aur hazar-rang ki mai

na ho jo ghar mein to bazar se manga ke piyun

bharosa kar ke main apne rahim par waiz

maza to jab hai ki tujh ko jala jala ke piyun

talab se aar hai itni ki pyas gar na bujhe

jigar ke KHun ko pani bana bana ke piyun

nigah-e-shauq meri ruh khinch leti hai

nahin wo rind ki saghar se munh laga ke piyun

ye shai ki jis se nigahon ko rashk dil ko surur

chhupa chhupa ke unDelun dikha dikha ke piyun

gunahgar sahi chor main nahin zahid

hai ye bhi kufr ki kabe se munh phira ke piyun

na rind-e-tang-nazar 'arzu' na tanha-KHor

jo zahr bhi ho mayassar to main pila ke piyun

(785) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Piyun Hi Kyun Jo Bura Jaanun Aur Chhupa Ke Piyun In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Piyun Hi Kyun Jo Bura Jaanun Aur Chhupa Ke Piyun is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Piyun Hi Kyun Jo Bura Jaanun Aur Chhupa Ke Piyun for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Piyun Hi Kyun Jo Bura Jaanun Aur Chhupa Ke Piyun in PDF.