Ras Un Aankhon Ka Hai Kahne Ko Zara Sa Pani

ras un aankhon ka hai kahne ko zara sa pani

sainkaDon Dub gae phir bhi hai itna pani

aankh se bah nahin sakta hai bharam ka pani

phuT bhi jaega chhaala to na dega pani

chah mein paun kahan aas ka miTha pani

pyas bhaDki hui hai aur nahin milta pani

dil se lauka jo uTha aankh se Tapka pani

aag se aaj nikalte hue dekha pani

kis ne bhige hue baalon se ye jhaTka pani

jhum kar aai ghaTa TuT ke barsa pani

phailti dhup ka hai rup laDakpan ka uThan

dopahar Dhalte hi utrega ye chaDhta pani

TikTiki bandhe wo takte hain main is ghat mein hun

kahin khane lage chakkar na ye Thahra pani

koi matwali ghaTa thi ki jawani ki umang

ji baha le gaya barsat ka pahla pani

hath jal jaega chhaala na kaleje ka chhuo

aag muTThi mein dabi hai na samajhna pani

ras hi ras jin mein hai phir sail zara si bhi nahin

mangta hai kahin un aankhon ka mara pani

na sata us ko jo chup rah ke bhare ThanDi sans

ye hawa karti hai patthar ka kaleja pani

ye pasina wahi aansu hain jo pi jate the hum

'arzu' lo wo khula bhed wo TuTa pani

(852) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ras Un Aankhon Ka Hai Kahne Ko Zara Sa Pani In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Ras Un Aankhon Ka Hai Kahne Ko Zara Sa Pani is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Ras Un Aankhon Ka Hai Kahne Ko Zara Sa Pani for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Ras Un Aankhon Ka Hai Kahne Ko Zara Sa Pani in PDF.