Talash-e-rang Mein Aawara Misl-e-bu Hun Main

talash-e-rang mein aawara misl-e-bu hun main

guzar ke aap se apni hi justuju hun main

nafas hai saKHti-e-qaid-e-hayat ka zamin

nikal sake jo na phansi se wo gulu hun main

nishan-e-hasti fani hai dagh-e-nakaami

KHud apni aankh se Tapka hua lahu hun main

misal-e-paikar-e-simab-e-iztirab mudam

pa-e-nigah-e-karam sharh-e-arzu hun main

meri zaban pe hain andesha-ha-e-nakaami

samajh rahe wo dil mein ki hila-ju hun main

abhi hai aab-e-nadamat sar-e-jabin baqi

namaz aise main paDh lun ki ba-wazu hun main

hun kuchh na hone pe bhi kaenat ka hasil

ki apna shauq nahin teri aarzu hun main

misal-e-mani-e-be-lafz-o-lafz-e-be-mani

jo tere dil mein nahin hai wo 'arzu' hun main

(724) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Talash-e-rang Mein Aawara Misl-e-bu Hun Main In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Talash-e-rang Mein Aawara Misl-e-bu Hun Main is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Talash-e-rang Mein Aawara Misl-e-bu Hun Main for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Talash-e-rang Mein Aawara Misl-e-bu Hun Main in PDF.