Taqdir Pe Shakir Rah Kar Bhi Ye Kaun Kahe Tadbir Na Kar

taqdir pe shakir rah kar bhi ye kaun kahe tadbir na kar

wa bab-e-ijabat ho ki na ho zanjir hila taKHir na kar

gham baDhne de ai dil aur zara jaanch aah ki be-tasir na kar

hai KHwab adhura aap abhi be-samjhe ghalat tabir na kar

jab zulm ka badla zulm hua mazlum ka haq kuchh bhi na raha

de dard hi mein lazzat yarab nale ko ata tasir na kar

ho lakh kaman kaDi qatil kuchh jazb nishane mein bhi hai

bazu ke bal pe nazar kar ke andaza-e-zaKHm-e-tir na kar

ab tak jo nigahen sidhi hain mumkin hai kal ye palaT jaen

jo karna ho kare aise mein kis soch mein hai taKHir na kar

paiman-e-mohabbat KHatm hua ab zikr se us ke faeda kya

munh bikhri kaDiyon ke na mila tayyar nai zanjir na kar

ulfat ke ahd-e-mohkam mein bude kaghaz ki zamanat kya

ye dil se dil ki baaten hain rakh yaad faqat tahrir na kar

har dil hai hayat ka sarmaya har dil mein josh mohabbat ka

tu 'arzu' aur kahega kya bas rahne bhi de taqrir na kar

(672) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Taqdir Pe Shakir Rah Kar Bhi Ye Kaun Kahe Tadbir Na Kar In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Taqdir Pe Shakir Rah Kar Bhi Ye Kaun Kahe Tadbir Na Kar is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Taqdir Pe Shakir Rah Kar Bhi Ye Kaun Kahe Tadbir Na Kar for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Taqdir Pe Shakir Rah Kar Bhi Ye Kaun Kahe Tadbir Na Kar in PDF.