Taskin-e-dil Ka Ye Kya Qarina
taskin-e-dil ka ye kya qarina
rokun jo nala phaT jae sina
baDhti umangen kya par banengi
hai kis hawa mein dil ka safina
hain kya muamma ye aag pani
pita hun aansu jalta hai sina
gham tujh ko pyara tu mujh ko pyari
dil ki tamanna nazuk hasina
aaj us ne aansu hans hans ke ponchhe
KHushki mein ubhra Duba safina
tariKH dil ki KHud naqsh-e-dil hai
kha kha ke choTen chaTka nagina
TuTa hua dil ulfat bhara tha
Dha kar imarat paya dafina
hadd-e-KHirad se zat us ki bartar
unchi hai manzil nicha hai zina
tum 'arzu' ho tum 'arzu' ho
phir kaisi ranjish phir kaisa kina
(760) Peoples Rate This