Wada Sachcha Hai Ki JhuTa Mujhe Malum Na Tha

wada sachcha hai ki jhuTa mujhe malum na tha

kal badal jaegi duniya mujhe malum na tha

husn hai mashghala-e-zulm ko gahra parda

pas-e-parda hai andhera mujhe malum na tha

ishq wo shai hai ki charke bhi maza dete hain

warna qatil hain hasin kya mujhe malum na tha

dil ki zid is liye rakh li thi ki aa jae qarar

kal ye kuchh aur kahega mujhe malum na tha

jhuTi ummidon ne kya kya na hare bagh lagae

waqt jhonka hai hawa ka mujhe malum na tha

jitne qismat ke sahaare the wo jhuTe nikle

hai bandhi muTThiyon mein kya mujhe malum na tha

barson bhaTka kiya aur phir bhi na un tak pahuncha

ghar to malum tha rasta mujhe malum na tha

raaz-e-gham fash na ho is liye roki thi zaban

chup bhi rah kar yahi hoga mujhe malum na tha

dil maze leta hai jis gham ke wo hai kahish-e-jaan

zahr bhi hota hai miTha mujhe malum na tha

ishq-abaad ke nake hi se ruKHsat hue hosh

hai ye diwanon ki duniya mujhe malum na tha

hoga imroz ki surat mein zuhur-e-farda

wada yun roz Talega mujhe malum na tha

aarzu han bhi hasinon ki nahin hoti hai

in ki har baat hai dhoka mujhe malum na tha

(813) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wada Sachcha Hai Ki JhuTa Mujhe Malum Na Tha In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Wada Sachcha Hai Ki JhuTa Mujhe Malum Na Tha is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Wada Sachcha Hai Ki JhuTa Mujhe Malum Na Tha for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Wada Sachcha Hai Ki JhuTa Mujhe Malum Na Tha in PDF.