Wo Ban Kar Be-zaban Lene Ko BaiThe Hain Zaban Mujhse

wo ban kar be-zaban lene ko baiThe hain zaban mujh se

ki KHud kahte nahin kuchh aur kahlawate hain han mujh se

bahut kuchh husn-e-zan rakhta hai mera mehrban mujh se

ki tohmat dhar ke hai KHwahan-e-taid-e-bayan mujh se

kisi gul ki qaba milti nahin tahriq se KHali

junun ne le ke banTi hain ye kitni dhajjiyan mujh se

pila saqi ki rah jae KHumar-e-kaif ka parda

bas ab ruktin nahin aati hui angDaiyan mujh se

jo gul ko gul na samjhoge to kanTon hi mein uljhoge

na do apne ko dhoka aap ho kar bad-guman mujh se

bahut jaldi na kar ai chashm-e-tar kuchh der ko dam le

bayan karna wo tu rah jae jitni dastan mujh se

misal-e-shama apni aag mein kya aap jal jaun

qisas-e-KHamushi legi kahan tak ai zaban mujh se

huin ta-der pahchani hui aawaz mein baaten

wo kuchh kuchh khul chale hain rakh ke parda darmiyan mujh se

tasawwur ki nazar pardon ke roke ruk nahin sakti

bata o jaane wale chhup ke jaega kahan mujh se

agar ai 'arzu' har sans dil ki aah ban jae

na hogi KHatm phir bhi meri lambi dastan mujh se

(874) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Ban Kar Be-zaban Lene Ko BaiThe Hain Zaban Mujhse In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Wo Ban Kar Be-zaban Lene Ko BaiThe Hain Zaban Mujhse is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Wo Ban Kar Be-zaban Lene Ko BaiThe Hain Zaban Mujhse for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Wo Ban Kar Be-zaban Lene Ko BaiThe Hain Zaban Mujhse in PDF.