Wo Kya Likhta Jise Inkar Karte Bhi Hijab Aaya

wo kya likhta jise inkar karte bhi hijab aaya

jawab-e-KHat nahin aaya to ye samjho jawab aaya

qarib-e-subh ye kah kar ajal ne aankh jhapka di

are o hijr ke mare tujhe ab tak na KHwab aaya

dil is aawaz ke sadqe ye mushkil mein kaha kis ne

na ghabrana na ghabrana main aaya aur shitab aaya

koi qital-surat dekh li marne lage us par

ye maut ek KHushnuma parde mein aai ya shabab aaya

purane ahd TuTe ho gae paiman nae qaem

bana di us ne duniya dusri jo inqalab aaya

guzargah-e-mohabbat ban gai ek mustaqil basti

laga kar aag aaya ghar ko jo KHana-KHarab aaya

muamma ban gaya raaz-e-mohabbat 'arzu' yunhi

wo mujh se puchhte jhijke mujhe kahte hijab aaya

(708) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Kya Likhta Jise Inkar Karte Bhi Hijab Aaya In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Wo Kya Likhta Jise Inkar Karte Bhi Hijab Aaya is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Wo Kya Likhta Jise Inkar Karte Bhi Hijab Aaya for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Wo Kya Likhta Jise Inkar Karte Bhi Hijab Aaya in PDF.