Wo Sar-e-baam Kab Nahin Aata

wo sar-e-baam kab nahin aata

jab main hota hun tab nahin aata

bahr-e-taskin wo kab nahin aata

e'tibar aah ab nahin aata

chup hai shikwon ki ek band kitab

us se kahne ka Dhab nahin aata

un ke aage bhi dil ko chain nahin

be-adab ko adab nahin aata

zaKHm se kam nahin hai us ki hansi

jis ko rona bhi ab nahin aata

munh ko aa jata hai jigar gham se

aur gila ta-ba-lab nahin aata

bholi baaton pe teri dil ko yaqin

pahle aata tha ab nahin aata

dukh wo deta hai us pe hai ye haal

lene jata hun jab nahin aata

'arzu' be-asar mohabbat chhoD

kyun kare kaam jab nahin aata

(866) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Sar-e-baam Kab Nahin Aata In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Wo Sar-e-baam Kab Nahin Aata is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Wo Sar-e-baam Kab Nahin Aata for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Wo Sar-e-baam Kab Nahin Aata in PDF.