Azal Ke Din Jinhen Dekha Tha Bazm-e-husn-e-pinhan Mein

azal ke din jinhen dekha tha bazm-e-husn-e-pinhan mein

simaT aaen wahi ranaiyan taswir-e-jaanan mein

mera zauq-e-nazar ab us maqam-e-ashiqi par hai

jahan uljha hua hai husn bhi KHwab-e-pareshan mein

baDha de kash koi wusaten anwar-e-mani ki

mujhe tarmim karna hai mazaq-e-chashm-e-hairan mein

abhi gunjaishen dekhi kahan hain ahl-e-alam ne

sama ja ai ajal aa tu bhi KHalwat-KHana-e-jaan mein

har ek tar-e-gareban hasil-e-sad-barq-e-aiman hai

KHuda-malum kitne husn hain chaak-e-gareban mein

KHuda rakkhe mere daman mein hai ek phul aisa bhi

khaTakta hai jo kanTe ki tarah chashm-e-gulistan mein

azal ke roz se arsh-o-malaik sajda karte hain

koi to baat hai ai 'arzu' tarkib-e-insan mein

(619) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Azal Ke Din Jinhen Dekha Tha Bazm-e-husn-e-pinhan Mein In English By Famous Poet Arzoo Saharanpuri. Azal Ke Din Jinhen Dekha Tha Bazm-e-husn-e-pinhan Mein is written by Arzoo Saharanpuri. Read famous Poem Azal Ke Din Jinhen Dekha Tha Bazm-e-husn-e-pinhan Mein for youth and Student by Arzoo Saharanpuri. Free Download Azal Ke Din Jinhen Dekha Tha Bazm-e-husn-e-pinhan Mein in PDF.