KHudi Ki Fitrat-e-zarrin Ke Raaz-ha-e-darun

KHudi ki fitrat-e-zarrin ke raaz-ha-e-darun

ada-shanas haqiqat mile koi to kahun

KHudi agar hai to hain surKH-ru hayat-o-mamat

KHudi nahin to hayat-o-mamat KHar-o-zabun

KHudi wo chiz hai nadan ki jis ke badle mein

mile jo daulat-e-kaunain bhi mujhe to na lun

alamaten hain ye sab ek mard-e-kaamil ki

KHulus-e-ruh o yaqin-e-tamam o soz-e-darun

samajh saka na samajh kar bhi aaj tak koi

ye aab-o-gil ka fasana ye aab-o-gil ka fusun

meri nazar mein hai raaz-e-darun-e-mai-KHana

magar ye soch raha hun kahun to kis se kahun

jinhen talash-e-sukun hai unhen ye kya malum

ki ek mahshar-e-KHamosh hai jahan-e-sukun

(710) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHudi Ki Fitrat-e-zarrin Ke Raaz-ha-e-darun In English By Famous Poet Arzoo Saharanpuri. KHudi Ki Fitrat-e-zarrin Ke Raaz-ha-e-darun is written by Arzoo Saharanpuri. Read famous Poem KHudi Ki Fitrat-e-zarrin Ke Raaz-ha-e-darun for youth and Student by Arzoo Saharanpuri. Free Download KHudi Ki Fitrat-e-zarrin Ke Raaz-ha-e-darun in PDF.