Ganw Ki Aankh Se Basti Ki Nazar Se Dekha

ganw ki aankh se basti ki nazar se dekha

ek hi rang hai duniya ko jidhar se dekha

hum se ai husn ada kab tera haq ho paya

aankh bhar tujh ko buzurgon ke na Dar se dekha

apni banhon ki tarah mujh ko lagin sab shaKHen

chand uljha hua jis raat shajar se dekha

hum kisi jang mein shamil na hue bas hum ne

har tamashe ko faqat rahguzar se dekha

har chamakte hue manzar se rahe hum naraaz

sare chehron ko sada dida-e-tar se dekha

phul se bachchon ke shanon pe the bhaari baste

hum ne school ko dushman ki nazar se dekha

(1162) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ganw Ki Aankh Se Basti Ki Nazar Se Dekha In English By Famous Poet Asad Badayuni. Ganw Ki Aankh Se Basti Ki Nazar Se Dekha is written by Asad Badayuni. Read famous Poem Ganw Ki Aankh Se Basti Ki Nazar Se Dekha for youth and Student by Asad Badayuni. Free Download Ganw Ki Aankh Se Basti Ki Nazar Se Dekha in PDF.