Sail-e-girya Ka Sine Se Rishta Bahut

sail-e-girya ka sine se rishta bahut

yani hain is KHarabe mein dariya bahut

main ne us nam se sham rangin ki

main ne us ke hawale se socha bahut

dekhne ke liye sara aalam bhi kam

chahne ke liye ek chehra bahut

is se aage to bas KHwab hi KHwab the

main ne us ko mujhe us ne dekha bahut

main bhi uljha hun manzar ke nairang se

mere pairon se lipTi hai duniya bahut

raftagan ke qadam jaise aahu ka ram

jaane walon ko raston ne roka bahut

jang-ju marakon mein hue surKH-ru

bastiyan bain karti hain tanha bahut

(642) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sail-e-girya Ka Sine Se Rishta Bahut In English By Famous Poet Asad Badayuni. Sail-e-girya Ka Sine Se Rishta Bahut is written by Asad Badayuni. Read famous Poem Sail-e-girya Ka Sine Se Rishta Bahut for youth and Student by Asad Badayuni. Free Download Sail-e-girya Ka Sine Se Rishta Bahut in PDF.