ShaKH Se Phul Se Kya Us Ka Pata Puchhti Hai

shaKH se phul se kya us ka pata puchhti hai

ya phir is dasht mein kuchh aur hawa puchhti hai

main to zaKHmon ko KHuda se bhi chhupana chahun

kis liye haal mera KHalq-e-KHuda puchhti hai

chashm-e-inkar mein iqrar bhi ho sakta tha

chheDne ko mujhe phir meri ana puchhti hai

tez aandhi ko na fursat hai na ye shauq-e-fuzul

haal ghunchon ka mohabbat se saba puchhti hai

kisi sahra se guzarta hai koi naqa-sawar

aur mizaj us ka hawa sab se juda puchhti hai

(764) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ShaKH Se Phul Se Kya Us Ka Pata Puchhti Hai In English By Famous Poet Asad Badayuni. ShaKH Se Phul Se Kya Us Ka Pata Puchhti Hai is written by Asad Badayuni. Read famous Poem ShaKH Se Phul Se Kya Us Ka Pata Puchhti Hai for youth and Student by Asad Badayuni. Free Download ShaKH Se Phul Se Kya Us Ka Pata Puchhti Hai in PDF.