SuKHan-wari Ka Bahana Banata Rahta Hun

suKHan-wari ka bahana banata rahta hun

tera fasana tujhi ko sunata rahta hun

main apne aap se sharminda hun na duniya se

jo dil mein aata hai honTon pe lata rahta hun

purane ghar ki shikasta chhaton se ukta kar

nae makan ka naqsha banata rahta hun

mere wajud mein aabaad hain kai jangal

jahan main hu ki sadaen lagata rahta hun

mere KHuda yahi masrufiyat bahut hai mujhe

tere charagh jalata bujhata rahta hun

(891) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

SuKHan-wari Ka Bahana Banata Rahta Hun In English By Famous Poet Asad Badayuni. SuKHan-wari Ka Bahana Banata Rahta Hun is written by Asad Badayuni. Read famous Poem SuKHan-wari Ka Bahana Banata Rahta Hun for youth and Student by Asad Badayuni. Free Download SuKHan-wari Ka Bahana Banata Rahta Hun in PDF.