Talab Ki Rahon Mein Sare Aalam Nae Nae Se

talab ki rahon mein sare aalam nae nae se

shajar hajar log shahr mausam nae nae se

chamak raha tha falak pe suraj naya naya sa

luTa chuki thi KHazane shabnam nae nae se

hain ab bhi aankhon ke didbanon mein apni wo din

lage diyar-e-sahar ko jab hum nae nae se

tamawwujon ki ragon mein shorish nai nai si

lahu ke jhagDe badan mein paiham nae nae se

purane hote hue sahife daraKHt insan

ye chand suraj sitare har dam nae nae se

kabhi to aaenge shaKH-e-dil par gulab taza

milenge 'asad' hamein bhi mausam nae nae se

(802) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Talab Ki Rahon Mein Sare Aalam Nae Nae Se In English By Famous Poet Asad Badayuni. Talab Ki Rahon Mein Sare Aalam Nae Nae Se is written by Asad Badayuni. Read famous Poem Talab Ki Rahon Mein Sare Aalam Nae Nae Se for youth and Student by Asad Badayuni. Free Download Talab Ki Rahon Mein Sare Aalam Nae Nae Se in PDF.