Yahi Nahin Ki Mera Ghar Badalta Jata Hai

yahi nahin ki mera ghar badalta jata hai

mizaj-e-sheher bhi badalta jata hai

ruten qadim tawatur se aati jati hain

daraKHt patton ke zewar badalta jata hai

ufuq pe kyun nahin rukti koi kiran pal bhar

ye kaun tezi se manzar badalta jata hai

ghubar-e-waqt mein sab rang ghulte jate hain

zamana kitne hi tewar badalta jata hai

chhiDi hui hai azal se dil o nigah mein jang

mahaz ek hai lashkar badalta jata hai

ye kis ka hath hai jo be-charagh raaton mein

fasil-e-shahr ke patthar badalta jata hai

parind peD se parwaz karte jate hain

ki bastiyon ka muqaddar badalta jata hai

(755) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yahi Nahin Ki Mera Ghar Badalta Jata Hai In English By Famous Poet Asad Badayuni. Yahi Nahin Ki Mera Ghar Badalta Jata Hai is written by Asad Badayuni. Read famous Poem Yahi Nahin Ki Mera Ghar Badalta Jata Hai for youth and Student by Asad Badayuni. Free Download Yahi Nahin Ki Mera Ghar Badalta Jata Hai in PDF.