Jab Tak Wo Shoala-ru Mere Pesh-e-nazar Na Tha

jab tak wo shoala-ru mere pesh-e-nazar na tha

main aashna-e-lazzat soz-e-jigar na tha

eazaz-e-rang-o-bu se nawaza gaya use

jis gul ke sar pe saya-e-shaKH-e-shajar na tha

afsos aap se na hua azm-e-iltifat

warna mera pahaD ki choTi pe ghar na tha

jo aasman ki jhil mein chamka tamam raat

wo tera ak-e-naqsh-e-qadam tha qamar na tha

shabnam se tar tha mere sirhane ka surKH phul

lekin abhi to raat ka pichhla pahar na tha

guzri hai yun uThae hue zindagi ka bojh

jaise main koi pul ka sutun tha bashar na tha

(848) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Tak Wo Shoala-ru Mere Pesh-e-nazar Na Tha In English By Famous Poet Asad Jafri. Jab Tak Wo Shoala-ru Mere Pesh-e-nazar Na Tha is written by Asad Jafri. Read famous Poem Jab Tak Wo Shoala-ru Mere Pesh-e-nazar Na Tha for youth and Student by Asad Jafri. Free Download Jab Tak Wo Shoala-ru Mere Pesh-e-nazar Na Tha in PDF.