Shashdar-o-hairan Hai Jo Bhi KHaridaron Mein Hai

shashdar-o-hairan hai jo bhi KHaridaron mein hai

ek sukut-e-bekaran har samt bazaron mein hai

naubat-e-qaht-e-masihai yahan tak aa gai

kuchh dinon se aarzu-e-marg bimaron mein hai

wo bhi kya din the ki jab har wasf ek eazaz tha

aaj to azmat qabaon aur dastaron mein hai

uD rahe hain rang phulon ke faqat is baat par

iltifat fasl-e-gul ka zikr kyun KHaron mein hai

ai mere naqid mere ashaar kam-paya sahi

kam se kam iblagh to mere suKHan-paron mein hai

bujh nahin sakti kisi surat hawas ki tishnagi

bahr-e-be-payan bhi barish ke talab-garon mein hai

KHub-surat shakl mein hum sab darinde hain 'asad'

aadmi kahte hain jis ko wo abhi ghaaron mein hai

(1132) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shashdar-o-hairan Hai Jo Bhi KHaridaron Mein Hai In English By Famous Poet Asad Jafri. Shashdar-o-hairan Hai Jo Bhi KHaridaron Mein Hai is written by Asad Jafri. Read famous Poem Shashdar-o-hairan Hai Jo Bhi KHaridaron Mein Hai for youth and Student by Asad Jafri. Free Download Shashdar-o-hairan Hai Jo Bhi KHaridaron Mein Hai in PDF.