In Aql Ke Bandon Mein Aashufta-sari Kyun Hai

in aql ke bandon mein aashufta-sari kyun hai

ye tang-dili kyun hai ye kam-nazari kyun hai

asrar agar samjhe duniya ki har ek shai ke

KHud apni haqiqat se ye be-KHabari kyun hai

sau jalwe hain nazron se manind-e-nazar pinhan

dawa-e-jahan-bini ai dida-wari kyun hai

hal jin ka amal se hai paikar-o-jadal se hai

in zinda masail par bahs-e-nazari kyun hai

to dekh tere dil mein hai soz-e-talab kitna

mat puchh duaon mein ye be-asari kyun hai

ai gul jo bahaar aai hai waqt-e-KHud-arai

ye rang-e-junun kaisa ye jama-dari kyun hai

waiz ko jo aadat hai pechida-bayani ki

hairan hai ki rindon ki har baat khari kyun hai

milta hai use pani ashkon ki rawani hai

malum hua kheti zaKHmon ki hari kyun hai

ulfat ko 'asad' kitna aasan samajhta tha

ab nala-e-shab kyun hai aah-e-sahari kyun hai

(839) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

In Aql Ke Bandon Mein Aashufta-sari Kyun Hai In English By Famous Poet Asad Multani. In Aql Ke Bandon Mein Aashufta-sari Kyun Hai is written by Asad Multani. Read famous Poem In Aql Ke Bandon Mein Aashufta-sari Kyun Hai for youth and Student by Asad Multani. Free Download In Aql Ke Bandon Mein Aashufta-sari Kyun Hai in PDF.