Dil Gaya Be-qarariyan Na Gain

dil gaya be-qarariyan na gain

ishq ki KHam-kariyan na gain

mar miTe nam par wafa ke hum

teri be-e'tibariyan na gain

lab pe aaya na us ka nam kabhi

gham ki parhez-gariyan na gain

khap gai jaan bujh gae tewar

ashk ki tabdariyan na gain

tauba karne ko hum ne ki to magar

tauba ki sharmsariyan na gain

jaan aa hi gai labon pe magar

shauq ki parda-dariyan na gain

wo hai kina ki sard-mehri hai

apni jaanib se yariyan na gain

girya bhi hai 'asar' ka mastana

na gain baada-KHwariyan na gain

(786) Peoples Rate This

Related Poetry


Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544