Kis Tarah Khilte Hain Naghmon Ke Chaman Samjha Tha Main
kis tarah khilte hain naghmon ke chaman samjha tha main
saz-e-hasti par tujhe jab zaKHma-zan samjha tha main
kya KHabar thi ham-nawa ho jaenge sayyaad ke
bagh ka apne jinhen sarw-o-saman samjha tha main
qaidi-e-be-KHanuman zindan se chhuTe bhi agar
aur kuchh baDh jaenge ranj-o-mehan samjha tha main
tabe-e-gardish hain kis ke inqilabaat-e-jahan
kya kahegi teri chashm-e-pur-fitan samjha tha main
is tarah dil chaak hota hai na yun TukDe jigar
lala-o-gul hain tere KHun-e-kafan samjha tha main
to mila jis ko use kya jaan o tan se wasta
tafraqa tha jis ko rabt-e-jaan-o-tan samjha tha main
haqq-o-baatil ka 'asar' miTne laga jab imtiyaz
taza hoga qissa-e-dar-o-rasan samjha tha main
(681) Peoples Rate This