Lutf Gunah Mein Mila Aur Na Maza Sawab Mein

lutf gunah mein mila aur na maza sawab mein

umr tamam kaT gai kawish-e-ehtisab mein

tere shabab ne kiya mujh ko junun se aashna

mere junun ne bhar diye rang teri shabab mein

aah ye dil ki jaan-gudaz joshish-e-iztirab hai

hae wo daur jab kabhi lutf tha iztirab mein

qalb taDap taDap uTha ruh laraz laraz gai

bijliyan thin bhari hui zamzama-e-rubab mein

charKH bhi mai-parast hai bazm-e-zamin bhi mast hai

gharq-e-buland-o-past hai jalwa-e-mahtab mein

mere liye ajib hain teri ye muskurahaTen

jag raha hun ya tujhe dekh raha hun KHwab mein

mere sukut mein nihan hai mere dil ki dastan

jhuk gai chashm-e-fitna-za Dub gai hijab mein

lazzat-e-jam-e-jam kabhi talKHi-e-zahr-e-gham kabhi

ishrat-e-zist hai 'asar' gardish-e-inqilab mein

(902) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lutf Gunah Mein Mila Aur Na Maza Sawab Mein In English By Famous Poet Asar Sahbai. Lutf Gunah Mein Mila Aur Na Maza Sawab Mein is written by Asar Sahbai. Read famous Poem Lutf Gunah Mein Mila Aur Na Maza Sawab Mein for youth and Student by Asar Sahbai. Free Download Lutf Gunah Mein Mila Aur Na Maza Sawab Mein in PDF.