Meri Har Sans Ko Sab Naghma-e-mahfil Samajhte Hain

meri har sans ko sab naghma-e-mahfil samajhte hain

magar ahl-e-dil aawaz-e-shikast-e-dil samajhte hain

guman kashana-e-rangin ka hai jis par nigahon ko

use ahl-e-nazar gard-e-rah-e-manzil samajhte hain

ilahi kashti-e-dil bah rahi hai kis samundar mein

nikal aati hain maujen hum jise sahil samajhte hain

tarab-angez hain ranginiyan fasl-e-bahaari ki

magar bulbul unhen KHun-e-rag-e-bismil samajhte hain

pighal kar dil lahu ho ho ke bah jata hai aankhon se

sitam hai shama ko jo zinat-e-mahfil samajhte hain

kahan hoga Thikana barq-raftari un ki wahshat ka

ki wo manzil ko bhi sang-e-rah-e-manzil samajhte hain

bagule uD rahe hain jo hamare dasht-e-wahshat mein

unhin ko ai 'asar' hum parda-e-mahmil samajhte hain

(654) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Har Sans Ko Sab Naghma-e-mahfil Samajhte Hain In English By Famous Poet Asar Sahbai. Meri Har Sans Ko Sab Naghma-e-mahfil Samajhte Hain is written by Asar Sahbai. Read famous Poem Meri Har Sans Ko Sab Naghma-e-mahfil Samajhte Hain for youth and Student by Asar Sahbai. Free Download Meri Har Sans Ko Sab Naghma-e-mahfil Samajhte Hain in PDF.