Tumhaari Furqat Mein Meri Aankhon Se KHun Ke Aansu Tapak Rahe Hain

tumhaari furqat mein meri aankhon se KHun ke aansu Tapak rahe hain

siphar-e-ulfat ke hain sitare ki sham-e-gham mein chamak rahe hain

ajib hai soz-o-saz-e-ulfat tarab-faza hai gudaz-e-ulfat

ye dil mein shole bhaDak rahe hain ki lala o gul mahak rahe hain

bahaar hai ya sharab-e-rangin nashat-afroz kaif-agin

gulon ke saghar chhalak rahe hain gulon pe bulbul chahak rahe hain

jahan pe chhaya sahab-e-masti baras rahi hai sharab-e-masti

ghazab hai rang-e-shabab-e-masti ki rind o zahid bahak rahe hain

magar 'asar' hai KHamosh o hairan hawas gum chaak daman

labon pe aaen nazar pareshan to ruKH pe aansu Tapak rahe hain

(738) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhaari Furqat Mein Meri Aankhon Se KHun Ke Aansu Tapak Rahe Hain In English By Famous Poet Asar Sahbai. Tumhaari Furqat Mein Meri Aankhon Se KHun Ke Aansu Tapak Rahe Hain is written by Asar Sahbai. Read famous Poem Tumhaari Furqat Mein Meri Aankhon Se KHun Ke Aansu Tapak Rahe Hain for youth and Student by Asar Sahbai. Free Download Tumhaari Furqat Mein Meri Aankhon Se KHun Ke Aansu Tapak Rahe Hain in PDF.