Aalam-e-rozgar Ko Aasan Bana Diya

aalam-e-rozgar ko aasan bana diya

jo gham hua use gham-e-jaanan bana diya

main kaamyab-e-did bhi mahrum-e-did bhi

jalwon ke izhdiham ne hairan bana diya

yun muskurae jaan si kaliyon mein paD gai

yun lab-kusha hue ki gulistan bana diya

kuchh shorishon ki nazr hua KHun-e-ashiqan

kuchh jam ke rah gaya use hirman bana diya

ai shaiKH wo basit haqiqat hai kufr ki

kuchh qaid-e-rasm ne jise iman bana diya

kuchh aag di hawas mein to tamir-e-ishq ki

jab KHak kar diya use irfan bana diya

kya kya quyud dahr mein hain ahl-e-hosh ke

aisi faza-e-saf ko zindan bana diya

ek barq thi zamir mein fitrat ke maujzan

aaj us ko husn o ishq ka saman bana diya

majburi-e-hayat mein raaz-e-hayat hai

zindan ko main ne rauzan-e-zindan bana diya

wo shorishen nizam-e-jahan jin ke dam se hai

jab muKHtasar kiya unhen insan bana diya

hum us nigah-e-naz ko samjhe the neshtar

tum ne to muskura ke rag-e-jaan bana diya

bulbul ba-ah-o-nala wa gul mast-e-rang-o-bu

mujh ko shahid-e-rasm-e-gulistan bana diya

kahte hain ek fareb-e-musalsal hai zindagi

us ko bhi waqf-e-hasrat-o-hirman bana diya

aalam se be-KHabar bhi hun aalam mein bhi hun main

saqi ne is maqam ko aasan bana diya

us husn-e-karobar ko maston se puchhiye

jis ko fareb-e-hosh ne isyan bana diya

(1166) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aalam-e-rozgar Ko Aasan Bana Diya In English By Famous Poet Asghar Gondvi. Aalam-e-rozgar Ko Aasan Bana Diya is written by Asghar Gondvi. Read famous Poem Aalam-e-rozgar Ko Aasan Bana Diya for youth and Student by Asghar Gondvi. Free Download Aalam-e-rozgar Ko Aasan Bana Diya in PDF.