Aashob-e-husn Ki Bhi Koi Dastan Rahe

aashob-e-husn ki bhi koi dastan rahe

miTne ko yun miTen ki abad tak nishan rahe

tauf-e-haram mein ya sar-e-ku-e-butan rahe

ek barq-e-iztirab rahe hum jahan rahe

un ki tajalliyon ka bhi koi nishan rahe

har zarra meri KHak ka aatish-ba-jaan rahe

kya kya hain dard-e-ishq ki fitna-taraaziyan

hum iltifat-e-KHas se bhi bad-guman rahe

mere sarishk-e-KHun mein hai rangini-e-hayat

ya rab faza-e-husn abad tak jawan rahe

main raazdar-e-husn hun tum raazdar-e-ishq

lekin ye imtiyaz bhi kyun darmiyan rahe

(1427) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aashob-e-husn Ki Bhi Koi Dastan Rahe In English By Famous Poet Asghar Gondvi. Aashob-e-husn Ki Bhi Koi Dastan Rahe is written by Asghar Gondvi. Read famous Poem Aashob-e-husn Ki Bhi Koi Dastan Rahe for youth and Student by Asghar Gondvi. Free Download Aashob-e-husn Ki Bhi Koi Dastan Rahe in PDF.