Aks Kis Chiz Ka Aaina-e-hairat Mein Nahin

aks kis chiz ka aaina-e-hairat mein nahin

teri surat mein hai kya jo meri surat mein nahin

donon aalam teri nairang adai ke nisar

ab koi chiz yahan jeb-e-mohabbat mein nahin

daulat-e-qurb ko KHasan-e-mohabbat jaanen

chand ashkon ke siwa kuchh meri qismat mein nahin

log marte bhi hain jite bhi hain betab bhi hain

kaun sa sehr teri chashm-e-inayat mein nahin

sab se ek tarz juda sab se ek aahang juda

rang mahfil mein tera jo hai wo KHalwat mein nahin

nashsha-e-ishq mein har chiz uDi jati hai

kaun zarra hai ki sarshaar mohabbat mein nahin

dawa-e-did ghalat dawa-e-irfan bhi ghalat

kuchh tajalli ke siwa chashm-e-basirat mein nahin

ho gai jama mata-e-gham-e-hirman kyunkar

main samajhta tha koi parda-e-ghaflat mein nahin

zarre zarre mein kiya josh-e-tarannum paida

KHud magar koi nawa saz-e-mohabbat mein nahin

najd ki samt se ye shor-e-ana-laila kyun

shoKHi-e-husn agar parda-e-wahshat mein nahin

(787) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aks Kis Chiz Ka Aaina-e-hairat Mein Nahin In English By Famous Poet Asghar Gondvi. Aks Kis Chiz Ka Aaina-e-hairat Mein Nahin is written by Asghar Gondvi. Read famous Poem Aks Kis Chiz Ka Aaina-e-hairat Mein Nahin for youth and Student by Asghar Gondvi. Free Download Aks Kis Chiz Ka Aaina-e-hairat Mein Nahin in PDF.